Vo Bachpan Kitna Suhana Tha !!!!

Ek kagaz ki kashti ko, barish k paani me tairana tha...
Majhi bhi khud the, sahil bhi khud hi banana tha…
Khel bhi purana tha, tufaan ko bhi ana tha…
Fir bhi chalte jana tha…
Vo bachpan kitna suhana tha….

Na khud ki parwah thi, na logo logo ka bahana tha....
Apni kashti ko khud hi paar lagana tha...
Sapno ki duniya thi, asmaan par bhi jana tha...
Fir bhi chalte jana tha…
Vo bachpan kitna suhana tha…

Kaha aa gaye ki samajhdaari ki duniya me…
Hume vo afsana hi pyara tha…
In khali, adhuri baton, mushkilo ki samajh se to,
Vo nasamajh bachpan hi suhana tha…
Bas chalte jana tha,
Vo bachpan kitna suhana tha….

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Mental Health is need of the hour !!

FOLLOW YOUR INNER VOICE !!

THROUGH IT ALL.....